Thursday, 18 July 2013

Hazaron pal tumhare bin

Hazaron pal tumhare bin
na poocho kaise kaate hain
kabhi yaadain satati hain
kabhi mausam rulate hain
use kehna hum aate hain

humain mayoos na karna
humara maan rakh lena
humain wapas nahi jana
humain apna bana lena
humain dil main basa lena

bahut tadpe hue dil se
bahut rootha nahi karte
Muhabbat tu ibadat hai
ise ruswa nahi karte
zamane se chupate hain
kabhi charcha nahi karte

No comments:

Post a Comment