Kyun
pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh use batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun
baar baar woh satata hai
Khwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh
mann main har dum rahta hai,
Dhadkan ki tarah dhadakta hai.
Hain isi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.
Ek
duje ke dil main rahte hain
Kya pyaar isi ko kahte hain?
No comments:
Post a Comment